
Mohammad Iqbal Abid
Global Chapter
5 followers
Professional Details
1)
Company
Ex Air India Mumbai
Industry
Aviation
Designation
Service Engineer
Products
Avionics
Services
Avionics
Life Journey
Mera bachpan ek aam qasbe ke bachon jaisa hi guzra. Maine apni taaleem ka aaghaz ek madarsa se kiya, jahan maine Quran aur Urdu padhna seekha. Thodi bahut Hindi aur English bhi madarsa mein seekhne ka mauqa mila. Class 1 se 3 tak madarsa mein padhne ke baad mujhe ek private school mein daakhil karaya gaya, jahan maine class 4 tak taleem hasil ki.
Uske baad mujhe Railway College mein daakhil karaya gaya, jahan maine class 5 se lekar 12 tak padhai ki. Yeh college 1870 mein bana tha aur aaj bhi apni purani shaan ke saath barqarar hai. Maine 10th aur 12th UP Board se yahin se ki, aur hamara college Uttar Pradesh ke top 10 inter colleges mein shumar hota tha.
12th ke baad maine B.Sc ke liye Varanasi mein daakhila liya. Graduation ke baad hi mujhe Indian Air Force join karne ka mauqa mila aur maine 1996 mein Bhartiya Vayu Sena mein shamil ho gaya. 10 saal tak Air Force ki khidmat ki, lekin 2006 mein ek naye mauqe ki wajah se maine Air Force chhod diya.
Mujhe Air India mein Service Engineer ke taur par job mil gayi. Maine 2011 tak Mumbai mein Air India ke saath kaam kiya. Job permanent thi, lekin us waqt company financial crisis se guzar rahi thi. Adhi tankhwah milti thi aur baaqi baad mein milne ka wada kiya jata tha. Promotions bhi rok diye gaye the, jo ek bada jhatka tha. Isi dauraan ek naye mauqa ne dastak di aur mujhe VIP charter company mein Riyadh aane ka mauqa mila.
2011 se lekar aaj tak, main isi company mein Aircraft Avionics Supervisor ke taur par kaam kar raha hoon. Yeh safar aasan nahi tha, lekin har mushkil ne mujhe aur mazboot banaya. Maine service k dauarn hi PGDM 2 years kiya 2001 se 2003 tak. Sath hi sath Aircraft Maintenance Engineering ka licence liya. Former PM aur President k aircraft mein kaam krne ka mauqa mila. Company ne training k liye USA, France aur Dubai bheja. Indian Air Force se Operation Vijay aur Operation Parakaram medals mila aur sath hi sath Flight Safety Prize bhi. Riyadh ek program mein Ipad prize k taur pe mila jise Satcom k founder ne diya. Indian Embassy se quiz winner ka certificate mila.
Aviation mein 28 saal ka tajurba hai, Alhamdolillah. Aircraft maintenance Engineer ki hasiyat se 5 alag alag hawai jahazon pe kaam kr chuka hun jaise Airbus A320, A330, ATR72-600, Hawker 900 XP aur VIP charter famous aircraft Gulfsteram G450 pe. Mera kaam hai hawai jahaz mein avionics related jo bhi fault aate hain unko theek krna jaise height wrong dikhana, engines related warnings like overheat, navigation, communication and in flight entertainment system waghera,
AMU se PGD in SPSS 2021 mein kiya skills development ki wajah se. Ye course data science based hai jiska use aircraft sytem mein aaye hue fault history aur repair krne k records mein help krta hai.
Mera Paigham
Zindagi ek safar hai, jisme seekhna, mehnat karna aur naye mauqe dhoondhna bohot zaroori hai. Agar aap kisi ek jagah ruk gaye, to aap peeche reh jayenge. Hamesha apne skills ko improve karein, naye raste dhoondein aur mehnat se ghabrayein nahi. Jo log mehnat karte hain, unke liye Allah kamyabi k raste khol deta hai.